1.Trading account
Bussiness main trading account ka upyog sakal labh or
sakal hani ganna karne ke liye kiya jata hai | ismen kewal maal kharidne se or
bechne se sambandhi entries ki jati hain .
2.Profit and loss ac
Bussiness main sabhi expenses ke baad net profit or net
loss ki ganna karne ke liye p&l account ka nirman kiya jata hai
3. Balance sheet
Business ki
financial position ko dekhne ke liye balance sheet ka use kiya jata hai|yeh
sabhi liabilities or assets ko pradarshit karti hai
4. Bills of exchanges
Bussine mein
ek person ke dwara ek doosre byakti ko ek nishchit rashi ka bhugtan karne ke
liye adesh ke roop main diye gaye prapatra ko bills of exchange kahte hain isme
reciver or payble bills hote hain.
Computerised ac with tally
Accounting
ka karya computer per karne ke liye tally ka use kiya jata hai| yeh software
concept par adharit hai |ismein entries ko record karke final ac banaye jate
hain.
ismen auto calculation ka
future hota hai | jiske dwara har entry ke sath final account auto update hota
rahta hai|
isliye reports ko kisi bhi
samay saralta se prapt kiya ja sakta hai yeh software trading aur non trading
account ke sath payable,costing, taxation
Aadi
features adi pradan karta hai.
Installation of Tally
Tally
software ko computer main install karne ke liye iski setup file par double
cllick kiya jata hai ismen installtion ka path aur advance ka use karke data
folder ka path dekar install par click kiya jata hai |
C:\ tally.erp9
C:\tally.erp9\data
C:\tally.erp9\tally.erp9
C:\ tally \ public \ tally.erp9 \ data
Company info menu(alt+f3)
Tally
software main firm ka manage karne ke liye company info menu ke options ka use
kiya jata hai jo nimn hain .
Create company
Iska use
firm ki profile ka nirman karne ke liye
kiya jata hai|ismen company name address contact number financial year, book
beginning form adi information ke baad nimn option set kiye jate hain
Tally vault password - iska upyog company ka data ka incription karne ke liye kiya
jata hai| yeh future company ke data ko anya
format main change kar deta hai jisse password ke bina data read karna sambhav
nahi hota hai.
Secutiry control- is option ka use administrator ka nirman karne ke liye kiya jata hai yeh
administrator account ke liye password facility pradan karta hai
Tally audit feature- is option ka upyog adminstrator account ke dwara
bibhhinn users ke dwara paribarton ka record rakhne ke liye kiya jata hai
Select company (shortcut f1)- is option ka use ko open karne ke
liye kiya jata hai
Shut company(alt+f1)- is
option ka use company ko close karne ke liye kiya jata hai
Alter- is
option ka use company ki profile
main
paribartan karne ke liye kiya jata hai
or is option ke dwara company ko delete bhi
kiya ja sakta hai ise delete karte samay (ALT+D) shortcut ka upyog kiya jata hai
Change
tally vault
Is option ka use company par vault password lagane or
password change karne ke liye kiya jata hai yeh option company ke data ki copy
ek nayi profile main kar deta hai jiska use changed kiye gaye password ke sath
kiya jata hai
Create
group company
Is option ka use group company nirman ke liye kiya
jata hai yeh ek se adhik firm ka use karke un sabhi firms ke data ko ek sath
dekhne ki subidha pradan karta hai
Security control
Is option ka use company main user account ko manage
karne , user group ka nirman karne tatha
password policy ko set karne ke liye kiya jata hai
Spilit company
Is option ka use company ke data ko kisi date se do
parts main baantne ke liye kiya jata hai | is option ke dwara present company
ka use karte hue do nayi company nirmit kardi jati hai ismen pehli company
1April se di gayi date se pehle tak ka data rakhte hue sabhi ac ki closing
karti hai tatha dusri company di gayi date se present date tak ke data ko
rakhti hai
Backup
is option ka use company ke data ki duplicate copy
banane ke liye kiya jata hai yeh company ke data ko ek file main store kar deta
hai
Restore
Backup file se data ko punah prapt karne ke liye is
option ka upyog kiya jata hai
1 comments:
Click here for commentsnice knowleadge bro
ConversionConversion EmoticonEmoticon